ji par bhi humne jabr kiya iKHtiyar tak
jī par bhī ham ne jabr kiyā iḳhtiyār tak
jiite rahe aḳhīr dam-e-intizār tak
kis ko nasīb hote haiñ phir jalsa-hā-e-mai
jiitā hai kaun dekhiye aglī bahār tak
uf-re sitam ki bahr-e-duā-e-visāl-e-ġhair
vo paañv chal ke aa.e haiñ mere mazār tak
tum bhī karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhī kareñge sabr magar iḳhtiyār tak
shākī nahīñ maiñ naḳhvat-e-gul hī kā ai 'vafā'
mujh se chaman meñ nok kī lete haiñ ḳhaar tak
ji par bhi hum ne jabr kiya iKHtiyar tak
jite rahe aKHir dam-e-intizar tak
kis ko nasib hote hain phir jalsa-ha-e-mai
jita hai kaun dekhiye agli bahaar tak
uf-re sitam ki bahr-e-dua-e-visal-e-ghair
wo panw chal ke aae hain mere mazar tak
tum bhi karoge jabr shab o roz is qadar
hum bhi karenge sabr magar iKHtiyar tak
shaki nahin main naKHwat-e-gul hi ka ai 'wafa'
mujh se chaman mein nok ki lete hain KHar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.