jina hai to jine ka sahaara bhi to hoga
jiinā hai to jiine kā sahārā bhī to hogā
hamdam mirī qismat kā sitāra bhī to hogā
ye soch ke is shahr meñ ham aa.e the shāyad
ai jān-e-talab koī hamārā bhī to hogā
ham ishq kī manzil meñ ḳhatā-vār haiñ lekin
pahle tirī jānib se ishāra bhī to hogā
ham gardish-e-girdāb-e-alam se nahīñ Darte
tūfāñ hai agar aaj kināra bhī to hogā
jina hai to jine ka sahaara bhi to hoga
hamdam meri qismat ka sitara bhi to hoga
ye soch ke is shahr mein hum aae the shayad
ai jaan-e-talab koi hamara bhi to hoga
hum ishq ki manzil mein KHata-war hain lekin
pahle teri jaanib se ishaara bhi to hoga
hum gardish-e-girdab-e-alam se nahin Darte
tufan hai agar aaj kinara bhi to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.