Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha

Sajjad Mirza

jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha

Sajjad Mirza

MORE BYSajjad Mirza

    jis āñkhoñ meñ koī rañg-e-shanāsā.ī na thā

    us se milne mirā dil bhī tamannā.ī na thā

    ham dayār-e-ġhair meñ kahte rahe haiñ dil baat

    ek apne shahr meñ izn-e-goyā.ī na thā

    jazba-e-dil ke bahak jaane se rusvā ho ga.e

    kūcha-e-mahbūb varna kū-rusvā.ī na thā

    zulmat-e-shab ko jahāñ nūr-e-sahar kahte the log

    merā sach kahnā sazāvār-e-pazīrā.ī na thā

    daad bhī detā na thā vo mere jazb-e-shauq

    ḳhāmushī āñkhoñ meñ lab par harf-e-goyā.ī na thā

    terī be-mehrī na thī kotāhī-e-qismat bhī thī

    kār-zār-e-dil meñ varna shauq-e-paspā.ī na thā

    merī apnī zaat ik anjuman se kam na thī

    is liye 'sajjād' mujh ko ḳhauf-e-tanhā.ī na thā

    jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha

    us se milne ka mera dil bhi tamannai na tha

    hum dayar-e-ghair mein kahte rahe hain dil ki baat

    ek apne shahr hi mein izn-e-goyai na tha

    jazba-e-dil ke bahak jaane se ruswa ho gae

    kucha-e-mahbub warna ku-ruswai na tha

    zulmat-e-shab ko jahan nur-e-sahar kahte the log

    mera sach kahna sazawar-e-pazirai na tha

    dad bhi deta na tha wo mere jazb-e-shauq ki

    KHamushi aankhon mein lab par harf-e-goyai na tha

    teri be-mehri na thi kotahi-e-qismat bhi thi

    kar-zar-e-dil mein warna shauq-e-paspai na tha

    meri apni zat hi ek anjuman se kam na thi

    is liye 'sajjad' mujh ko KHauf-e-tanhai na tha

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 508)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now