jise ishq ka tir kari lage
jise ishq kā tiir kaarī lage
use zindagī kyuuñ na bhārī lage
na chhoḌe mohabbat dam-e-marg tak
jise yār-e-jānī suuñ yaarī lage
na hove use jag meñ hargiz qarār
jise ishq kī be-qarārī lage
har ik vaqt mujh āshiq-e-pāk kuuñ
pyāre tirī baat pyārī lage
'valī' kuuñ kahe tū agar yak bachan
raqībāñ ke dil meñ kaTārī lage
jise ishq ka tir kari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
na chhoDe mohabbat dam-e-marg tak
jise yar-e-jaani sun yari lage
na howe use jag mein hargiz qarar
jise ishq ki be-qarari lage
har ek waqt mujh aashiq-e-pak kun
pyare teri baat pyari lage
'wali' kun kahe tu agar yak bachan
raqiban ke dil mein kaTari lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.