jism ki qaid se ek roz guzar jaoge
jism kī qaid se ik roz guzar jāoge
ḳhushk pattoñ kī tarah tum bhī bikhar jāoge
tum samundar kī rifāqat pe bharosa na karo
tishnagī lab pe sajā.e hue mar jāoge
vaqt is tarah badal degā tumhāre ḳhad-o-ḳhāl
apnī tasvīr jo dekhoge to Dar jāoge
jism ki qaid se ek roz guzar jaoge
KHushk patton ki tarah tum bhi bikhar jaoge
tum samundar ki rifaqat pe bharosa na karo
tishnagi lab pe sajae hue mar jaoge
waqt is tarah badal dega tumhaare KHad-o-KHal
apni taswir jo dekhoge to Dar jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.