jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyun
jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyun
Ambareen Haseeb ambar
MORE BYAmbareen Haseeb ambar
jism-o-jāñ meñ dar aa.ī is qadar aziyyat kyuuñ
zindagī bhalā tujh se ho rahī hai vahshat kyuuñ
silsila mohabbat kā sirf ḳhvāb hī rahtā
apne darmiyāñ āḳhir aa ga.ī haqīqat kyuuñ
faisla bichhaḌne kā kar liyā hai jab tum ne
phir mirī tamannā kyā phir mirī ijāzat kyuuñ
ye ajiib uljhan hai kis se pūchhne jaa.eñ
aa.ine meñ rahtī hai sirf ek sūrat kyuuñ
karr-o-farr se nikle the jo sameTne duniyā
bhar ke apne dāman meñ aa ga.e nadāmat kyuuñ
aap se muḳhātib huuñ aap hī ke lahje meñ
phir ye barhamī kaisī aur ye shikāyat kyuuñ
jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyun
zindagi bhala tujh se ho rahi hai wahshat kyun
silsila mohabbat ka sirf KHwab hi rahta
apne darmiyan aaKHir aa gai haqiqat kyun
faisla bichhaDne ka kar liya hai jab tum ne
phir meri tamanna kya phir meri ijazat kyun
ye ajib uljhan hai kis se puchhne jaen
aaine mein rahti hai sirf ek surat kyun
karr-o-farr se nikle the jo sameTne duniya
bhar ke apne daman mein aa gae nadamat kyun
aap se muKHatib hun aap hi ke lahje mein
phir ye barhami kaisi aur ye shikayat kyun
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 143)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.