jism o jaan sulagte hain barishon ka mausam hai
jism o jaan sulagte hain barishon ka mausam hai
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
jism o jaañ sulagte haiñ bārishoñ kā mausam hai
ab to lauT kar aa jā chāhatoñ kā mausam hai
mere ḳhushk hoñToñ par qahqahe to haiñ lekin
merī ruuh ke andar siskiyoñ kā mausam hai
ḳhvāb aur nīñdoñ kā ḳhatm ho gayā rishta
muddatoñ se āñkhoñ meñ rat-jagoñ kā mausam hai
thā mire ḳhayāloñ meñ gulshan ik tamannā kā
mujh ko ye gumāñ guzrā ḳhushbuoñ kā mausam hai
shāḳh-e-ġham pe khil uTThe phuul kuchh umīdoñ ke
sham' qarya-e-dil meñ ḳhvāhishoñ kā mausam hai
jism o jaan sulagte hain barishon ka mausam hai
ab to lauT kar aa ja chahaton ka mausam hai
mere KHushk honTon par qahqahe to hain lekin
meri ruh ke andar siskiyon ka mausam hai
KHwab aur nindon ka KHatm ho gaya rishta
muddaton se aankhon mein rat-jagon ka mausam hai
tha mere KHayalon mein gulshan ek tamanna ka
mujh ko ye guman guzra KHushbuon ka mausam hai
shaKH-e-gham pe khil uTThe phul kuchh umidon ke
sham' qarya-e-dil mein KHwahishon ka mausam hai
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 514)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.