jo hain mazlum un ko to taDapta chhoD dete hain
jo haiñ mazlūm un ko to taḌaptā chhoḌ dete haiñ
ye kaisā shahr hai zālim ko zinda chhoḌ dete haiñ
anā ke sikke hote haiñ faqīroñ kī bhī jholī meñ
jahāñ zillat mile us dar pe jaanā chhoḌ dete haiñ
huā kaisā asar ma.asūm zehnoñ par ki bachchoñ ko
agar paise dikhāo to khilaunā chhoḌ dete haiñ
agar ma.alūm ho jaa.e paḌosī apnā bhūkā hai
to ġhairat-mand hāthoñ se nivāla chhoḌ dete haiñ
mohazzab log bhī samjhe nahīñ qānūn jangal kā
shikārī sher bhī kavvoñ kā hissa chhoḌ dete haiñ
parindoñ ko bhī insāñ kī tarah hai fikr rozī kī
sahar hote hī apnā āshiyāna chhoḌ dete haiñ
ta'ajjub kuchh nahīñ 'dānā' jo bāzār-e-siyāsat meñ
qalam bik jaa.eñ to sach baat likhnā chhoḌ dete haiñ
jo hain mazlum un ko to taDapta chhoD dete hain
ye kaisa shahr hai zalim ko zinda chhoD dete hain
ana ke sikke hote hain faqiron ki bhi jholi mein
jahan zillat mile us dar pe jaana chhoD dete hain
hua kaisa asar masum zehnon par ki bachchon ko
agar paise dikhao to khilauna chhoD dete hain
agar malum ho jae paDosi apna bhuka hai
to ghairat-mand hathon se niwala chhoD dete hain
mohazzab log bhi samjhe nahin qanun jangal ka
shikari sher bhi kawwon ka hissa chhoD dete hain
parindon ko bhi insan ki tarah hai fikr rozi ki
sahar hote hi apna aashiyana chhoD dete hain
ta'ajjub kuchh nahin 'dana' jo bazar-e-siyasat mein
qalam bik jaen to sach baat likhna chhoD dete hain
- Book : Fanoos (Pg. 43)
- Author : Abbas Dana
- Publication : Shahid Book Depot Stedum Road Noor Nagar Rakhyal Ahmdabad (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.