jo mere dukh pe muskuraate hain
jo mire dukh pe muskurāte haiñ
vo mirā hausla baḌhāte haiñ
kaise kar luuñ yaqīn maiñ terā
qasmoñ kā kyā hai saare khāte haiñ
tum ko bas niiñd kā pata hai magar
log to ḳhvāb bhī churāte haiñ
un ko bhī hai zamīñ uThā.e hue
sar pe jo āsmāñ uThāte haiñ
jo nahīñ sunte baat koī bhī
vahī har baat par sunāte haiñ
mashvare dene vaale log aksar
bas ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
jo mere dukh pe muskuraate hain
wo mera hausla baDhate hain
kaise kar lun yaqin main tera
qasmon ka kya hai sare khate hain
tum ko bas nind ka pata hai magar
log to KHwab bhi churaate hain
un ko bhi hai zamin uThae hue
sar pe jo aasman uThate hain
jo nahin sunte baat koi bhi
wahi har baat par sunate hain
mashware dene wale log aksar
bas ghalat-fahmiyan baDhate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.