jo tere dard hain wahi sab mere dard hain
jo tere dard haiñ vahī sab mere dard haiñ
kahne ko apnī apnī jagah fard fard haiñ
dhuñdlā ga.e haiñ aks nazar hai bhañvar bhañvar
ḳhvāboñ meñ bhī ḳhayāl ke ā.īne gard haiñ
peshāniyoñ pe vaqt shikan-dar-shikan nahīñ
chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard haiñ
ik dūsre ko jaan ke pahchānte nahīñ
ham log saare ek qabīle ke fard haiñ
bhīgī hatheliyoñ se na paḌh kal kī zindagī
gahrī har ik lakīr sahī haath sard haiñ
ye ḳhushk lab ye paañv ke chhāle ye sar kī dhuul
ham shahr kī fazā meñ bhī sahrā-navard haiñ
'iqbāl' jab se phuul haiñ gul-dān ke asiir
ḳhushbū uḌī uḌī sī hai aur rang zard haiñ
jo tere dard hain wahi sab mere dard hain
kahne ko apni apni jagah fard fard hain
dhundla gae hain aks nazar hai bhanwar bhanwar
KHwabon mein bhi KHayal ke aaine gard hain
peshaniyon pe waqt shikan-dar-shikan nahin
chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard hain
ek dusre ko jaan ke pahchante nahin
hum log sare ek qabile ke fard hain
bhigi hatheliyon se na paDh kal ki zindagi
gahri har ek lakir sahi hath sard hain
ye KHushk lab ye panw ke chhaale ye sar ki dhul
hum shahr ki faza mein bhi sahra-naward hain
'iqbaal' jab se phul hain gul-dan ke asir
KHushbu uDi uDi si hai aur rang zard hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 393)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.