jugnu tha tara tha kya tha
jugnū thā taarā thā kyā thā
darvāze par kaun khaḌā thā
sadiyāñ bītīñ darvāze par
kaam faqat to pal bhar kā thā
phañsī huī thī Dor pañkh meñ
ik chiḌiyā kā haal burā thā
sab kuchh zer zabar kar Daalā
tez havā ko kis se gila thā
pattoñ ne jab miTTī bajā.ī
maiñ ik misra DhūñD rahā thā
nazm ke raushan sayyāre par
maiñ ne apnā naam likhā thā
maiñ ne apnā naam likhā thā
jugnū thā taarā thā kyā thā
jugnu tha tara tha kya tha
darwaze par kaun khaDa tha
sadiyan bitin darwaze par
kaam faqat to pal bhar ka tha
phansi hui thi Dor pankh mein
ek chiDiya ka haal bura tha
sab kuchh zer zabar kar Dala
tez hawa ko kis se gila tha
patton ne jab miTTi bajai
main ek misra DhunD raha tha
nazm ke raushan sayyare par
main ne apna nam likha tha
main ne apna nam likha tha
jugnu tha tara tha kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.