jurm-e-izhaar-e-tamanna aankh ke sar aa gaya
jurm-e-iz.hār-e-tamannā aañkh ke sar aa gayā
chor jo dil meñ chhupā thā aaj bāhar aa gayā
mere lafzoñ meñ harārat mere lahje meñ miThās
jo kuchh in āñkhoñ meñ thā mere laboñ par aa gayā
jin kī tābīroñ meñ thī ik umr kī vāraftagī
phir nigāhoñ meñ unhīñ ḳhvāboñ kā manzar aa gayā
shahr ke ābād sannāToñ kī vahshat dekh kar
dil ko jaane kyā huā maiñ shaam se ghar aa gayā
pahle chādar kī havas meñ paañv phailā.e bahut
ab ye dukh hai paañv kyuuñ chādar se bāhar aa gayā
ham divānoñ ke liye thiiñ vus.ateñ hī vus.ateñ
ḳhatm jab sahrā huā aage samundar aa gayā
tum ne 'bāqar' dil kā darvāza khulā rakkhā thā kyuuñ
jis ko aanā thā vo āḳhir dard ban kar aa gayā
jurm-e-izhaar-e-tamanna aankh ke sar aa gaya
chor jo dil mein chhupa tha aaj bahar aa gaya
mere lafzon mein hararat mere lahje mein miThas
jo kuchh in aankhon mein tha mere labon par aa gaya
jin ki tabiron mein thi ek umr ki waraftagi
phir nigahon mein unhin KHwabon ka manzar aa gaya
shahr ke aabaad sannaTon ki wahshat dekh kar
dil ko jaane kya hua main sham se ghar aa gaya
pahle chadar ki hawas mein panw phailae bahut
ab ye dukh hai panw kyun chadar se bahar aa gaya
hum diwanon ke liye thin wusaten hi wusaten
KHatm jab sahra hua aage samundar aa gaya
tum ne 'baqar' dil ka darwaza khula rakkha tha kyun
jis ko aana tha wo aaKHir dard ban kar aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.