aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kafir tujhe allah ne surat to pari di

Bahadur Shah Zafar

kafir tujhe allah ne surat to pari di

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    kāfir tujhe allāh ne sūrat to parī

    par haif tire dil meñ mohabbat na zarī

    ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishq

    hoñToñ ko jo ḳhushkī mirī āñkhoñ ko tarī

    ḳhāl-e-lab-e-shīrīñ diyā bosa kab us ne

    ik chaaT lagāne ko mire nīshkarī

    kāfir tire saudā-e-sar-e-zulf ne mujh ko

    kyā kyā na pareshānī o āshufta-sarī

    mehnat se hai azmat ki zamāne meñ nagīñ ko

    be-kāvish-e-sīna na kabhī nāmvarī

    sayyād ne ruḳhsat-e-parvāz par afsos

    ne na ijāzat mujhe be-bāl-o-parī

    kahtā tirā kuchh soḳhta-jāñ lek ajal ne

    fursat na use misl-e-charāġh-e-saharī

    qassam-e-azal ne na rakhā ham ko bhī mahrūm

    garche na diyā koī hunar be-hunarī

    us chashm meñ hai surme dumbāla pur-āshob

    kyuuñ haath meñ badmast ke bandūq bharī

    dil de ke kiyā ham ne tirī zulf saudā

    ik aap balā apne liye mol ḳharīdī

    saaqī ne diyā kyā mujhe ik sāġhar-e-sarshār

    goyā ki do aalam se 'zafar' be-ḳhabarī

    kafir tujhe allah ne surat to pari di

    par haif tere dil mein mohabbat na zari di

    di tu ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishq

    honTon ko jo KHushki meri aankhon ko tari di

    KHal-e-lab-e-shirin ka diya bosa kab us ne

    ek chaT lagane ko mere nishkari di

    kafir tere sauda-e-sar-e-zulf ne mujh ko

    kya kya na pareshani o aashufta-sari di

    mehnat se hai azmat ki zamane mein nagin ko

    be-kawish-e-sina na kabhi namwari di

    sayyaad ne di ruKHsat-e-parwaz par afsos

    tu ne na ijazat mujhe be-baal-o-pari di

    kahta tera kuchh soKHta-jaan lek ajal ne

    fursat na use misl-e-charagh-e-sahari di

    qassam-e-azal ne na rakha hum ko bhi mahrum

    garche na diya koi hunar be-hunari di

    us chashm mein hai surme ka dumbaala pur-ashob

    kyun hath mein badmast ke banduq bhari di

    dil de ke kiya hum ne teri zulf ka sauda

    ek aap bala apne liye mol KHaridi

    saqi ne diya kya mujhe ek saghar-e-sarshaar

    goya ki do aalam se 'zafar' be-KHabari di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now