kar-e-hunar sanwarne walon mein aaega
kār-e-hunar sañvārne vāloñ meñ aa.egā
jab bhī hamārā naam havāloñ meñ aa.egā
Tīloñ ko saath le ke jo uḌtī rahī havā
sahrā kā rañg barf ke gāloñ meñ aa.egā
jab āftāb-e-umr kī Dhalne lagegī dhuup
tab raushnī kā fan mire bāloñ meñ aa.egā
kaisā firāq kaisī judā.ī kahāñ kā hijr
vo jā.egā agar to ḳhayāloñ meñ aa.egā
insāñ se pyaar husn-parastī vatan se ishq
ham ne kiyā hai yuuñ ki misāloñ meñ aa.egā
'anjum'-ḳhalīq ik na.e anjum ko dekhnā
jis din vo āgahī ke ujāloñ meñ aa.egā
kar-e-hunar sanwarne walon mein aaega
jab bhi hamara nam hawalon mein aaega
Tilon ko sath le ke jo uDti rahi hawa
sahra ka rang barf ke galon mein aaega
jab aaftab-e-umr ki Dhalne lagegi dhup
tab raushni ka fan mere baalon mein aaega
kaisa firaq kaisi judai kahan ka hijr
wo jaega agar to KHayalon mein aaega
insan se pyar husn-parasti watan se ishq
hum ne kiya hai yun ki misalon mein aaega
'anjum'-KHaliq ek nae anjum ko dekhna
jis din wo aagahi ke ujalon mein aaega
- Book : Samundar Men Utarta Hon (Pg. 83)
- Author : Anjum Khaliq
- Publication : Khaleeq Publication (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.