karzar-e-ishq-o-sar-masti mein nusrat-yab hon
kārzār-e-ishq-o-sar-mastī meñ nusrat-yāb hoñ
vo junūnī daar tak jaane ko jo betāb huuñ
kohsāroñ par savā-neze pe sūraj aa.e to
choTiyoñ kī barf pighle vādiyāñ sairāb hoñ
dūsre sāhil pe koī sohnī ho muntazir
ham mahīñvāloñ ke aage bahr bhī pāyāb huuñ
āfiyat paate haiñ ḳhvāboñ ke hasīñ bahroñ meñ log
jab har ik mauj-e-haqā.eq meñ nihāñ girdāb hoñ
karzar-e-ishq-o-sar-masti mein nusrat-yab hon
wo jununi dar tak jaane ko jo betab hun
kohsaron par sawa-neze pe suraj aae to
choTiyon ki barf pighle wadiyan sairab hon
dusre sahil pe koi sohni ho muntazir
hum mahinwalon ke aage bahr bhi payab hun
aafiyat pate hain KHwabon ke hasin bahron mein log
jab har ek mauj-e-haqaeq mein nihan girdab hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.