kash paDte na in azabon mein
kaash paḌte na in azāboñ meñ
DhūñDte haiñ tumheñ sarāboñ meñ
kabhī kāñToñ kabhī gulāboñ meñ
kho ga.e ham ye kin azāboñ meñ
nashsha-e-yār kā nasha mat pūchh
aisī mastī kahāñ sharāboñ meñ
us kā jalva dikhā.ī detā hai
saare chehroñ pe sab kitāboñ meñ
sāmne hoñ to aañkh khultī nahīñ
jāgte haiñ ham un ke ḳhvāboñ meñ
kash paDte na in azabon mein
DhunDte hain tumhein sarabon mein
kabhi kanTon kabhi gulabon mein
kho gae hum ye kin azabon mein
nashsha-e-yar ka nasha mat puchh
aisi masti kahan sharabon mein
us ka jalwa dikhai deta hai
sare chehron pe sab kitabon mein
samne hon to aankh khulti nahin
jagte hain hum un ke KHwabon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.