kabhi bahar nahin aati sada parde mein rahti hai
kabhī bāhar nahīñ aatī sadā parde meñ rahtī hai
ḳhudā jaane tamanna kis ke bahkāve meñ rahtī hai
tumhārā saath merī zindagī bhar kī kamā.ī thī
ga.e ho jab se tum ye zindagī ghāTe meñ rahtī hai
jise ham log mil kar āshram meñ chhoḌ aa.e the
vo charḳhā kāt.tī hai chāñd ke chehre meñ rahtī hai
use ham par to dete haiñ magar uḌne nahīñ dete
hamārī beTī bulbul hai magar piñjre meñ rahtī hai
kamāñ se tiir chhūTe to kabhī vāpas nahīñ aatā
magar us ko ġhalat-fahmī mere baare meñ rahtī hai
vo jab tak lauT kar schōl se ghar aa nahīñ jaatā
hamārī jaan aTkī har ghaḌī beTe meñ rahtī hai
Thaharne hī nahīñ detī haiñ ghar meñ shahr kī ḳhabreñ
zarā bāhar nikalte haiñ to jaañ ḳhatre meñ rahtī hai
kabhi bahar nahin aati sada parde mein rahti hai
KHuda jaane tamanna kis ke bahkawe mein rahti hai
tumhaara sath meri zindagi bhar ki kamai thi
gae ho jab se tum ye zindagi ghaTe mein rahti hai
jise hum log mil kar aashram mein chhoD aae the
wo charKHa katti hai chand ke chehre mein rahti hai
use hum par to dete hain magar uDne nahin dete
hamari beTi bulbul hai magar pinjre mein rahti hai
kaman se tir chhuTe to kabhi wapas nahin aata
magar us ko ghalat-fahmi mere bare mein rahti hai
wo jab tak lauT kar school se ghar aa nahin jata
hamari jaan aTki har ghaDi beTe mein rahti hai
Thaharne hi nahin deti hain ghar mein shahr ki KHabren
zara bahar nikalte hain to jaan KHatre mein rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.