kabhi sahar to kabhi sham le gaya mujhse
kabhī sahar to kabhī shaam le gayā mujh se
tumhārā dard ka.ī kaam le gayā mujh se
mujhe ḳhabar na huī aur zamāna jaate hue
nazar bachā ke tirā naam le gayā mujh se
use ziyāda zarūrat thī ghar basāne kī
vo aa ke mere dar-o-bām le gayā mujh se
bhalā kahāñ koī juz is ke milne vaalā thā
bas ek jur.at-e-nākām le gayā mujh se
bas ek lamhe ke sach jhuuT ke evaz 'farhat'
tamām umr kā ilzām le gayā mujh se
kabhi sahar to kabhi sham le gaya mujh se
tumhaara dard kai kaam le gaya mujh se
mujhe KHabar na hui aur zamana jate hue
nazar bacha ke tera nam le gaya mujh se
use ziyaada zarurat thi ghar basane ki
wo aa ke mere dar-o-baam le gaya mujh se
bhala kahan koi juz is ke milne wala tha
bas ek jurat-e-nakaam le gaya mujh se
bas ek lamhe ke sach jhuT ke ewaz 'farhat'
tamam umr ka ilzam le gaya mujh se
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.