kabhi wo KHush bhi raha hai kabhi KHafa hua hai
kabhi wo KHush bhi raha hai kabhi KHafa hua hai
Abul Hasanat Haqqi
MORE BYAbul Hasanat Haqqi
kabhī vo ḳhush bhī rahā hai kabhī ḳhafā huā hai
ki saarā marhala tai mujh se barmalā huā hai
nashisteñ pur haiñ charāġh-o-ayāġh raushan haiñ
bas ek mere na hone se aaj kyā huā hai
uThā ke rakh do kitāb-e-firāq ko dil meñ
ki ye fasāna azal se mirā sunā huā hai
kabhī na ḳhālī milā bū-e-ham-nafas se dimāġh
tamām baaġh meñ jaise koī chhupā huā hai
mirī giraft meñ aatā nahīñ hai vo pal-bhar
mirī nazar se mirā dil abhī bachā huā hai
usī ke izn-o-razā se hai sab nigah-dārī
ki dām-o-dāna sabhī kuchh yahāñ paḌā huā hai
maiñ ḳhvāb meñ bhī vo dāman pakaḌ nahīñ saktā
ye haath aur kisī haath meñ diyā huā hai
yahī bahut hai agar ek ham-suḳhan mil jaa.e
maiñ sun rahā huuñ mirā dil bhī to dukhā huā hai
miyān-e-va.ada koī 'uzr ab ke mat laanā
ki rāheñ sahl haiñ aur zaḳhm bhī khulā huā hai
vo be-ḳhabar hai mirī jast-o-ḳhez se shāyad
ye kaun hai jo muqābil mire khaḌā huā hai
kabhi wo KHush bhi raha hai kabhi KHafa hua hai
ki sara marhala tai mujh se barmala hua hai
nashisten pur hain charagh-o-ayagh raushan hain
bas ek mere na hone se aaj kya hua hai
uTha ke rakh do kitab-e-firaq ko dil mein
ki ye fasana azal se mera suna hua hai
kabhi na KHali mila bu-e-ham-nafas se dimagh
tamam bagh mein jaise koi chhupa hua hai
meri giraft mein aata nahin hai wo pal-bhar
meri nazar se mera dil abhi bacha hua hai
usi ke izn-o-raza se hai sab nigah-dari
ki dam-o-dana sabhi kuchh yahan paDa hua hai
main KHwab mein bhi wo daman pakaD nahin sakta
ye hath aur kisi hath mein diya hua hai
yahi bahut hai agar ek ham-suKHan mil jae
main sun raha hun mera dil bhi to dukha hua hai
miyan-e-wada koi 'uzr ab ke mat lana
ki rahen sahl hain aur zaKHm bhi khula hua hai
wo be-KHabar hai meri jast-o-KHez se shayad
ye kaun hai jo muqabil mere khaDa hua hai
- Book : imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 41)
- Author : sayed abul hasnat haqqi
- Publication : Educational publishing house (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.