Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi yaad-e-KHuda kabhi ishq-e-butan yunhi sari umr ganwa baiTha

Fayyaz tahseen

kabhi yaad-e-KHuda kabhi ishq-e-butan yunhi sari umr ganwa baiTha

Fayyaz tahseen

MORE BYFayyaz tahseen

    kabhī yād-e-ḳhudā kabhī ishq-e-butāñ yūñhī saarī umr gañvā baiThā

    ab āḳhir-e-umr meñ aa ke khulā na thī ye sachchī na thā vo sachchā

    kabhī ḳhvāhish-e-duniyā le Duubī kabhī ḳhauf-e-ḳhudā ne tañg kiyā

    ab aa kar bhed khulā ham par na thī ye achchhī na thā vo achchhā

    sar par gaThrī añgāroñ aur ḳhvāhish paar utarne

    aage bārīk nāzuk pul aur nīche aag ik dariyā

    kuchh uqde aise hote haiñ jo na khuleñ to behtar hai

    kuchh bāteñ aisī hotī haiñ jinheñ dil meñ chhupā lenā achchhā

    vo mirzā agle vaqtoñ vo sāhebāñ guzre vaqtoñ

    jo karnā thā vo kar guzre jo kahnā thā vo kah dekhā

    ajdād kahīñ tum hal Daalo aur fasl ugaao karmoñ

    pīchhe tārīḳh hāñkā hai aur aage bail Darā sahmā

    kabhi yaad-e-KHuda kabhi ishq-e-butan yunhi sari umr ganwa baiTha

    ab aaKHir-e-umr mein aa ke khula na thi ye sachchi na tha wo sachcha

    kabhi KHwahish-e-duniya le Dubi kabhi KHauf-e-KHuda ne tang kiya

    ab aa kar bhed khula hum par na thi ye achchhi na tha wo achchha

    sar par gaThri angaron ki aur KHwahish par utarne ki

    aage barik sa nazuk pul aur niche aag ka ek dariya

    kuchh uqde aise hote hain jo na hi khulen to behtar hai

    kuchh baaten aisi hoti hain jinhen dil mein chhupa lena achchha

    wo mirza agle waqton ka wo saheban guzre waqton ki

    jo karna tha wo kar guzre jo kahna tha wo kah dekha

    ajdad kahin tum hal Dalo aur fasl ugao karmon ki

    pichhe tariKH ka hanka hai aur aage bail Dara sahma

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now