kah rahi hai sari duniya tera diwana mujhe
kah rahī hai saarī duniyā terā dīvāna mujhe
terī nazroñ ne banā Daalā hai afsāna mujhe
ishq meñ ab mil ga.ī hai mujh ko merāj-e-junūñ
ab to vo bhī kah rahe haiñ apnā dīvāna mujhe
dars-e-ibrat hai tumhāre vāste merā ma.aal
ġhuncha o gul ko sunānā hai ye afsāna mujhe
ik nigāh-e-nāz ne saaqī kī ye kyā kar diyā
rafta rafta kah uThe sab pīr-e-mai-ḳhāna mujhe
tū sarāpā nuur hai maiñ terā aks-e-ḳhās huuñ
kah rahe haiñ yuuñ tirā sab ā.īna-ḳhāna mujhe
sun rahī thī shauq se duniyā jise ai ham-nafas
yaad hai haañ yaad hai vo merā afsāna mujhe
nuur se bhar puur ho jaatī hai bazm-e-ārzū
jab kabhī vo dekhte haiñ be-hijābāna mujhe
al-madad ai zohd baḌh kar rok le mere qadam
tishnagī phir le chalī hai sū-e-mai-ḳhāna mujhe
ham-nafas merī to fitrat hī sanā-e-husn hai
ishq ke bande kahā karte haiñ dīvāna mujhe
mujh ko 'qaisar' mai-kade se nikle ik muddat huī
yaad karte haiñ abhī tak jaam o paimāna mujhe
kah rahi hai sari duniya tera diwana mujhe
teri nazron ne bana Dala hai afsana mujhe
ishq mein ab mil gai hai mujh ko meraj-e-junun
ab to wo bhi kah rahe hain apna diwana mujhe
dars-e-ibrat hai tumhaare waste mera maal
ghuncha o gul ko sunana hai ye afsana mujhe
ek nigah-e-naz ne saqi ki ye kya kar diya
rafta rafta kah uThe sab pir-e-mai-KHana mujhe
tu sarapa nur hai main tera aks-e-KHas hun
kah rahe hain yun tera sab aaina-KHana mujhe
sun rahi thi shauq se duniya jise ai ham-nafas
yaad hai han yaad hai wo mera afsana mujhe
nur se bhar pur ho jati hai bazm-e-arzu
jab kabhi wo dekhte hain be-hijabana mujhe
al-madad ai zohd baDh kar rok le mere qadam
tishnagi phir le chali hai su-e-mai-KHana mujhe
ham-nafas meri to fitrat hi sana-e-husn hai
ishq ke bande kaha karte hain diwana mujhe
mujh ko 'qaisar' mai-kade se nikle ek muddat hui
yaad karte hain abhi tak jam o paimana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.