kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun
kahāñ kisī pe ye ehsān karne vaalā huuñ
maiñ apne aap ko hairān karne vaalā huuñ
ajiib rañg kī ḳhushbū hai mere kiise meñ
maiñ shahr bhar ko pareshān karne vaalā huuñ
khilā rahegā kisī yaad ke jazīre par
ye baaġh maiñ jise vīrān karne vaalā huuñ
duā.eñ māñgtā huuñ sab kī zindagī ke liye
aur apnī maut kā sāmān karne vaalā huuñ
kuchh aur tarah kī mushkil meñ Dālne ke liye
maiñ apnī zindagī āsān karne vaalā huuñ
kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun
main apne aap ko hairan karne wala hun
ajib rang ki KHushbu hai mere kise mein
main shahr bhar ko pareshan karne wala hun
khila rahega kisi yaad ke jazire par
ye bagh main jise viran karne wala hun
duaen mangta hun sab ki zindagi ke liye
aur apni maut ka saman karne wala hun
kuchh aur tarah ki mushkil mein Dalne ke liye
main apni zindagi aasan karne wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.