kahin pe mantiq kahin dalael zarur honge
kahīñ pe mantiq kahīñ dalā.el zarūr hoñge
rah-e-junūñ meñ savāl haa.il zarūr hoñge
thakan ke aalam meñ kaun bistar ko chhoḌtā hai
vo jā rahā hai to kuchh masā.il zarūr hoñge
tum apnī zid par DaTe hue ho to phir yaqīñ hai
tumhāre dāman meñ kuchh dalā.el zarūr hoñge
abhī to umr-e-ravāñ kī pahlī bahār meñ haiñ
abhī to ḳhushbū kī or maa.il zarūr hoñge
tumhārā lahja tumhāre lafzoñ se muḳhtalif hai
tumhāre lahje se log ghāyal zarūr hoñge
kahin pe mantiq kahin dalael zarur honge
rah-e-junun mein sawal hail zarur honge
thakan ke aalam mein kaun bistar ko chhoDta hai
wo ja raha hai to kuchh masail zarur honge
tum apni zid par DaTe hue ho to phir yaqin hai
tumhaare daman mein kuchh dalael zarur honge
abhi to umr-e-rawan ki pahli bahaar mein hain
abhi to KHushbu ki or mail zarur honge
tumhaara lahja tumhaare lafzon se muKHtalif hai
tumhaare lahje se log ghayal zarur honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.