kahin se bas nae mausamon ki lati hui
kahīñ se baas na.e mausamoñ kī laatī huī
havā-e-tāza dar-e-nīm-vā se aatī huī
ba-taur-e-ḳhās kahāñ is nagar sabā kā varūd
kabhī kabhī yūñhī ruktī hai aatī jaatī huī
maiñ apne dhyān meñ gum-sum aur ek sā.at-e-shoḳh
guzar ga.ī mirī hālat pe muskurātī huī
sarāb-e-ḳhvāhish-e-āsūdgī magar koī shai
milī nahīñ hai tabī.at se mel khātī huī
lahū meñ tairtī ḳhāmoshiyoñ ke saath kahīñ
ravāñ-davāñ hai koī chīḳh sansanātī huī
yahāñ vahāñ haiñ ka.ī ḳhvāb jagmagāte hue
kahīñ kahīñ koī ta.abīr TimTimātī huī
kahin se bas nae mausamon ki lati hui
hawa-e-taza dar-e-nim-wa se aati hui
ba-taur-e-KHas kahan is nagar saba ka warud
kabhi kabhi yunhi rukti hai aati jati hui
main apne dhyan mein gum-sum aur ek saat-e-shoKH
guzar gai meri haalat pe muskuraati hui
sarab-e-KHwahish-e-asudgi magar koi shai
mili nahin hai tabiat se mel khati hui
lahu mein tairti KHamoshiyon ke sath kahin
rawan-dawan hai koi chiKH sansanati hui
yahan wahan hain kai KHwab jagmagate hue
kahin kahin koi tabir TimTimati hui
- Book : Pakistani Adab (Pg. 596)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.