kahte hain sar-e-rah munasib nahin milna
kahte haiñ sar-e-rāh munāsib nahīñ milnā
kyā ḳhuub ki ab hogī kahīñ aur mulāqāt
halkī sī ḳhalish dil meñ nigāhoñ meñ udāsī
shāyad yūñhī hotī hai mohabbat kī shurūāt
TuuTe hue taare meñ nahīñ koī tajallī
palkoñ se girā ashk to kyā rah ga.ī auqāt
ham ne bhī uThā.ī hai bahut aaj ḳharābī
'vāsif' ko bulāo ki chaleñ sū-e-ḳharābāt
kahte hain sar-e-rah munasib nahin milna
kya KHub ki ab hogi kahin aur mulaqat
halki si KHalish dil mein nigahon mein udasi
shayad yunhi hoti hai mohabbat ki shuruat
TuTe hue tare mein nahin koi tajalli
palkon se gira ashk to kya rah gai auqat
hum ne bhi uThai hai bahut aaj KHarabi
'wasif' ko bulao ki chalen su-e-KHarabaat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.