Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise kaise swang rachae humne duniya-dari mein

Azra Naqvi

kaise kaise swang rachae humne duniya-dari mein

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

    kaise kaise svāñg rachā.e ham ne duniyā-dārī meñ

    yuuñ saarī umar gañvā auroñ ġham-ḳhvārī meñ

    ham bhī kitne sāda-dil the sīdhī sachchī baat kareñ

    logoñ ne kyā kyā kah Daalā lahjoñ tah-dārī meñ

    jab duniyā par bas na chale to andar andar khuḌhnā kyā

    kuchh bele ke phuul khilā.eñ āñgan phulvārī meñ

    ka.ī dinoñ se jism o jaañ par ik be-kaifī chhā.ī hai

    bhiig rahī hai raat sunāo koī ġhazal darbārī meñ

    aane vaale kal ḳhātir har har pal qurbān kiyā

    haal ko dafnā dete haiñ ham jiine tayyārī meñ

    tum bhī in biite barsoñ koī nishānī le aanā

    maiñ tum se milne ā.ūñgī isī basantī saarī meñ

    ab baar jo ghar jaanā to saare album le aanā

    vaqt dīmak lag jaatī hai yādoñ almārī meñ

    kaise kaise swang rachae hum ne duniya-dari mein

    yun hi sari umar ganwa di auron gham-KHwari mein

    hum bhi kitne sada-dil the sidhi sachchi baat karen

    logon ne kya kya kah Dala lahjon ki tah-dari mein

    jab duniya par bas na chale to andar andar khuDhna kya

    kuchh bele ke phul khilaen aangan ki phulwari mein

    kai dinon se jism o jaan par ek be-kaifi chhai hai

    bhig rahi hai raat sunao koi ghazal darbari mein

    aane wale kal ki KHatir har har pal qurban kiya

    haal ko dafna dete hain hum jine ki tayyari mein

    tum bhi in bite barson ki koi nishani le aana

    main tum se milne aaungi isi basanti sari mein

    ab ki bar jo ghar jaana to sare album le aana

    waqt ki dimak lag jati hai yaadon ki almari mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now