kaliyan chaTak rahi hain bahaaron ki god mein
kaliyāñ chaTak rahī haiñ bahāroñ kī god meñ
jalvoñ kī mahfileñ haiñ sitāroñ kī god meñ
vo mauj jis ke ḳhauf se patvār gir paḌe
kashtī ko le ga.ī hai kināroñ kī god meñ
manzil simaT ke ḳhud hī mire paas aa ga.ī
maiñ sar-garāñ thī rāh-guzāroñ kī god meñ
yuuñ to diye fareb sahāroñ ne umr bhar
dil ko baḌā sukūñ thā sahāroñ kī god meñ
terā ḳhayāl terī mohabbat ġham-e-hayāt
sab so ga.e haiñ vaqt ke dhāroñ kī god meñ
mānūs ho ga.ī huuñ ḳhizāñ se ye soch kar
kuchh bhī nahīñ 'nasīm' bahāroñ kī god meñ
kaliyan chaTak rahi hain bahaaron ki god mein
jalwon ki mahfilen hain sitaron ki god mein
wo mauj jis ke KHauf se patwar gir paDe
kashti ko le gai hai kinaron ki god mein
manzil simaT ke KHud hi mere pas aa gai
main sar-garan thi rah-guzaron ki god mein
yun to diye fareb sahaaron ne umr bhar
dil ko baDa sukun tha sahaaron ki god mein
tera KHayal teri mohabbat gham-e-hayat
sab so gae hain waqt ke dhaaron ki god mein
manus ho gai hun KHizan se ye soch kar
kuchh bhi nahin 'nasim' bahaaron ki god mein
- Book : Shora-e-London (Pg. 174)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.