Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamal ye hai ki duniya ko kuchh pata na lage

Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

kamal ye hai ki duniya ko kuchh pata na lage

Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

MORE BYAziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri

    kamāl ye hai ki duniyā ko kuchh pata na lage

    ho iltijā bhī kuchh aisī ki iltijā na lage

    purānī bāteñ haiñ ab un zikr bhī chhoḌo

    agar kisī ko sunā.ūñ to ik fasāna lage

    vo ek lamha thā jis ne kiyā mujhe bismil

    maiñ dāstān batā.ūñ to ik zamāna lage

    base haiñ jalve kuchh aise nigāh-e-āshiq meñ

    jise bhī dekhe koī tujh se mā-sivā na lage

    na jaane kaun manzil pe ishq aa pahuñchā

    duā bhī kaam na aa.e koī davā na lage

    fareb rah ke bhī mahrūmiyāñ muqaddar thiiñ

    nazar uThā.ūñ to us ko kahīñ burā na lage

    ye kā.enāt sachchā.ī ab kahāñ DhūñDūñ

    suhānī raat manzar ho aur suhānā lage

    maiñ duur baiThā thā sahrā meñ ik umiid liye

    ise batā.ūñ to ye sach bhī ik bahāna lage

    banā liyā hai ik ā.īna apne dil ko 'shahīd'

    mujhe to shahr meñ ab koī bevafā na lage

    kamal ye hai ki duniya ko kuchh pata na lage

    ho iltija bhi kuchh aisi ki iltija na lage

    purani baaten hain ab un ka zikr bhi chhoDo

    agar kisi ko sunaun to ek fasana lage

    wo ek lamha tha jis ne kiya mujhe bismil

    main dastan bataun to ek zamana lage

    base hain jalwe kuchh aise nigah-e-ashiq mein

    jise bhi dekhe koi tujh se ma-siwa na lage

    na jaane kaun si manzil pe ishq aa pahuncha

    dua bhi kaam na aae koi dawa na lage

    fareb rah ke bhi mahrumiyan muqaddar thin

    nazar uThaun to us ko kahin bura na lage

    ye kaenat ki sachchai ab kahan DhunDun

    suhani raat ka manzar ho aur suhana lage

    main dur baiTha tha sahra mein ek umid liye

    ise bataun to ye sach bhi ek bahana lage

    bana liya hai ek aaina apne dil ko 'shahid'

    mujhe to shahr mein ab koi bewafa na lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now