karb-e-hijran zi-bas hai kya kije
karb-e-hijrāñ zi-bas hai kyā kiije
ham ko terī havas hai kyā kiije
ne dimāġh-e-visāl hai ham ko
kuchh unheñ pesh-o-pas hai kyā kiije
hijr meñ us nigār-e-tābāñ ke
lamha lamha baras hai kyā kiije
nighat-e-gul ke ābgīnoñ meñ
marg-e-shīrīñ kā ras hai kyā kiije
garche darvesh hai 'azīm' magar
us ko tujh se bhī mas hai kyā kiije
karb-e-hijran zi-bas hai kya kije
hum ko teri hawas hai kya kije
ne dimagh-e-visal hai hum ko
kuchh unhen pesh-o-pas hai kya kije
hijr mein us nigar-e-taban ke
lamha lamha baras hai kya kije
nighat-e-gul ke aabginon mein
marg-e-shirin ka ras hai kya kije
garche darwesh hai 'azim' magar
us ko tujh se bhi mas hai kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.