Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi

Ali Akbar Natiq

kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi

Ali Akbar Natiq

kase kajāve mahmaloñ ke aur jaagā raat taarā bhī

chhoḌ bastī nāqoñ ne ḳhāmosh huā naqqārā bhī

chāñd āñkheñ khel rahī thiiñ surḳh pahāḌ oToñ se

pūrab or se taak rahā thā uTh kar abr paara bhī

qāfile gard-e-safar meñ Dūbe, ghanTiyoñ āvāz ghuTī

āḳhirī uuñT pusht pe Daalā raat ne siyāh ġharāra bhī

shahr ke chauk meñ vīrānī hai aag bujhī, andher huā

raakh saroñ meñ Daal ke baiThe, aaj tire āvāra bhī

koī na rasta naap sakā hai, ret pe chalne vāloñ

agle qadam par miT jā.egā pahlā naqsh hamārā bhī

kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi

chhoD di basti naqon ne KHamosh hua naqqara bhi

chand si aankhen khel rahi thin surKH pahaD ki oTon se

purab or se tak raha tha uTh kar abr ka para bhi

qafile gard-e-safar mein Dube, ghanTiyon ki aawaz ghuTi

aaKHiri unT ki pusht pe Dala raat ne siyah gharara bhi

shahr ke chauk mein virani hai aag bujhi, andher hua

rakh saron mein Dal ke baiThe, aaj tere aawara bhi

koi na rasta nap saka hai, ret pe chalne walon ka

agle qadam par miT jaega pahla naqsh hamara bhi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now