kaun kahan tak ja sakta hai
kaun kahāñ tak jā saktā hai
ye to vaqt batā saktā hai
ishq meñ vahshat kā ik sho.ala
ghar ko aag lagā saktā hai
jazboñ kī shiddat kā sūraj
zanjīreñ pighlā saktā hai
terī aamad kā ik jhoñkā
ujḌā shahr basā saktā hai
ā.īne meñ jur.at ho to
aks bhī sūrat pā saktā hai
āñkhoñ meñ Thahrā ik manzar
raah meñ gard uḌā saktā hai
tujh ko paiham sochne vaalā
ḳhvāb ko haath lagā saktā hai
kaun kahan tak ja sakta hai
ye to waqt bata sakta hai
ishq mein wahshat ka ek shoala
ghar ko aag laga sakta hai
jazbon ki shiddat ka suraj
zanjiren pighla sakta hai
teri aamad ka ek jhonka
ujDa shahr basa sakta hai
aaine mein jurat ho to
aks bhi surat pa sakta hai
aankhon mein Thahra ek manzar
rah mein gard uDa sakta hai
tujh ko paiham sochne wala
KHwab ko hath laga sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.