Khaaliq se iltimas kare iltija kare
ḳhāliq se iltimās kare iltijā kare
koī to ho jo haq meñ hamāre duā kare
vo sham-e-haq jale na bhalā kaise hashr tak
fānūs ban ke jis kī hifāzat havā kare
furqat kā ġham uThā.e jā zinda-dilī ke saath
tauhīn-e-ishq hogī agar tū gila kare
dushman se aise kaun bhalā jiit pā.egā
jo dostī ke bhes meñ chhup kar daġhā kare
vo jis kā mere qatl kī sāzish meñ haath hai
ilzām us pe koī na aa.e ḳhudā kare
ye daur-e-pur-fareb hai is daur meñ 'salīm'
mumkin nahīñ hai koī kisī se vafā kare
KHaliq se iltimas kare iltija kare
koi to ho jo haq mein hamare dua kare
wo sham-e-haq jale na bhala kaise hashr tak
fanus ban ke jis ki hifazat hawa kare
furqat ka gham uThae ja zinda-dili ke sath
tauhin-e-ishq hogi agar tu gila kare
dushman se aise kaun bhala jit paega
jo dosti ke bhes mein chhup kar dagha kare
wo jis ka mere qatl ki sazish mein hath hai
ilzam us pe koi na aae KHuda kare
ye daur-e-pur-fareb hai is daur mein 'salim'
mumkin nahin hai koi kisi se wafa kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.