KHair ko KHair shar ko shar kahna
ḳhair ko ḳhair shar ko shar kahnā
sar qalam ho to ho magar kahnā
dukh bashar kā na jo bashar samjhe
us bashar ko na tum bashar kahnā
log chehre pe rakhte haiñ chehra
har kisī ko na mo'atabar kahnā
sang-reze to sang-reze haiñ
sang-rezoñ ko mat guhar kahnā
hai burā fe.al aadmī kā ye
sab kī bāteñ idhar-udhar kahnā
dard ke phal hī jis meñ aate hoñ
us ko rāhat kā mat shajar kahnā
ye jahāñ ik sarā-e-fānī hai
'nasr' is ko na mustaqar kahnā
KHair ko KHair shar ko shar kahna
sar qalam ho to ho magar kahna
dukh bashar ka na jo bashar samjhe
us bashar ko na tum bashar kahna
log chehre pe rakhte hain chehra
har kisi ko na mo'atabar kahna
sang-reze to sang-reze hain
sang-rezon ko mat guhar kahna
hai bura feal aadmi ka ye
sab ki baaten idhar-udhar kahna
dard ke phal hi jis mein aate hon
us ko rahat ka mat shajar kahna
ye jahan ek sara-e-fani hai
'nasr' is ko na mustaqar kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.