KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai
ḳhalvat-e-zāt hai aur anjuman-ārā.ī hai
bazm sī bazm hai tanhā.ī sī tanhā.ī hai
vo hai ḳhāmosh magar us ke sukūt-e-lab par
raqs kartā huā ik ālam-e-goyā.ī hai
jab añdhere mirī āñkhoñ kā lahū chaaT chuke
tab in āñkhoñ meñ rifāqat kī chamak aa.ī hai
ab ḳhudā us ko banāyā hai to yaad aatā hai
jaise us but se to barsoñ kī shanāsā.ī hai
niiñd TuuTī hai to ehsās-e-ziyāñ bhī jaagā
dhuup dīvār se āñgan meñ utar aa.ī hai
pas-e-dīvār-e-abad dekh rahā huuñ ai dost
merī āñkhoñ meñ mire ahd kī bīnā.ī hai
mere chehre pe hai vo aks ki ā.īna-e-zāt
kabhī merā kabhī ḳhud apnā tamāshā.ī hai
mere sach meñ to koī khoT nahīñ thā 'sarshār'
phir ye kyuuñ zahr se tiryāk kī bū aa.ī hai
KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai
bazm si bazm hai tanhai si tanhai hai
wo hai KHamosh magar us ke sukut-e-lab par
raqs karta hua ek aalam-e-goyai hai
jab andhere meri aankhon ka lahu chaT chuke
tab in aankhon mein rifaqat ki chamak aai hai
ab KHuda us ko banaya hai to yaad aata hai
jaise us but se to barson ki shanasai hai
nind TuTi hai to ehsas-e-ziyan bhi jaga
dhup diwar se aangan mein utar aai hai
pas-e-diwar-e-abad dekh raha hun ai dost
meri aankhon mein mere ahd ki binai hai
mere chehre pe hai wo aks ki aaina-e-zat
kabhi mera kabhi KHud apna tamashai hai
mere sach mein to koi khoT nahin tha 'sarshaar'
phir ye kyun zahr se tiryak ki bu aai hai
- Book : Monthly Usloob (Pg. 373)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.