KHarabe mein bauchhaar ho kar rahegi
ḳharābe meñ bauchhār ho kar rahegī
galī dil kī gulzār ho kar rahegī
hukūmat ġhamoñ kī nahīñ chalne vaalī
masarrat kī yalġhār ho kar rahegī
ki shāḳhoñ pe phūloñ ke guchchhe to dekho
ye baġhiyā samar-dār ho kar rahegī
bhare jā.eñge ġhaar parbat girā kar
ye dhartī to hamvār ho kar rahegī
lakīreñ faqat kheñchtā jā varaq par
koī shakl tayyār ho kar rahegī
maiñ aisā fasāna sunāne ko huuñ ab
ki shab bhar tū bedār ho kar rahegī
ye pāgal havā aur safar be-karāñ ye
judā sar se dastār ho kar rahegī
chalā.ūñgā tesha meñ ab 'ājizī kā
anā us kī mismār ho kar rahegī
KHarabe mein bauchhaar ho kar rahegi
gali dil ki gulzar ho kar rahegi
hukumat ghamon ki nahin chalne wali
masarrat ki yalghaar ho kar rahegi
ki shaKHon pe phulon ke guchchhe to dekho
ye baghiya samar-dar ho kar rahegi
bhare jaenge ghaar parbat gira kar
ye dharti to hamwar ho kar rahegi
lakiren faqat khenchta ja waraq par
koi shakl tayyar ho kar rahegi
main aisa fasana sunane ko hun ab
ki shab bhar tu bedar ho kar rahegi
ye pagal hawa aur safar be-karan ye
juda sar se dastar ho kar rahegi
chalaunga tesha mein ab 'ajizi ka
ana us ki mismar ho kar rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.