KHat jo tere nam likha, takiye mein chhupa ke rakhta hun
KHat jo tere nam likha, takiye mein chhupa ke rakhta hun
Ajmal Siddiqui
MORE BYAjmal Siddiqui
ḳhat jo tere naam likhā, takiye meñ chhupā ke rakhtā huuñ
jaane kis ummīd pe ye tā'vīz dabā ke rakhtā huuñ
taaki ik ik lafz mire lahje meñ tujh se baat kare
ḳhat ke har har lafz ko ḳhat par ḳhuub paḌhā ke rakhtā huuñ
aas pe terī bikhrā detā huuñ kamre kī sab chīzeñ
aas bikharne par sab chīzeñ ḳhud hī uThā ke rakhtā huuñ
ek zarā sā dard milā aur kāġhaz kaale kar Daale
ek zarā se hijr pe ik hañgāma machā ke rakhtā huuñ
ambar, mushkīñ, rūh-e-bahārāñ jān-afazā aur mauj-e-bahisht
ik terī nisbat se kyā kyā naam sabā ke rakhtā huuñ
KHat jo tere nam likha, takiye mein chhupa ke rakhta hun
jaane kis ummid pe ye ta'wiz daba ke rakhta hun
taki ek ek lafz mere lahje mein tujh se baat kare
KHat ke har har lafz ko KHat par KHub paDha ke rakhta hun
aas pe teri bikhra deta hun kamre ki sab chizen
aas bikharne par sab chizen KHud hi uTha ke rakhta hun
ek zara sa dard mila aur kaghaz kale kar Dale
ek zara se hijr pe ek hangama macha ke rakhta hun
ambar, mushkin, ruh-e-bahaaran jaan-afaza aur mauj-e-bahisht
ek teri nisbat se kya kya nam saba ke rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.