khinch ke mahbub ke daman ki taraf
khiñch ke mahbūb ke dāman kī taraf
aa ga.e aur bhī uljhan kī taraf
tum chhupāte raho kitnā us ko
bijliyāñ ā.eñgī ḳhirman kī taraf
har taraf nuur kā taḌkā dekhā
kaun aayā mire āñgan kī taraf
ai chaman vaalo rukūñ yā jā.ūñ
ik dhuāñ sā hai nasheman kī taraf
ḳhair-maqdam ko jhukeñgī shāḳheñ
ik zarā aao to gulshan kī taraf
'arsh' kis dost ko apnā samjhūñ
sab ke sab dost haiñ dushman kī taraf
khinch ke mahbub ke daman ki taraf
aa gae aur bhi uljhan ki taraf
tum chhupate raho kitna us ko
bijliyan aaengi KHirman ki taraf
har taraf nur ka taDka dekha
kaun aaya mere aangan ki taraf
ai chaman walo rukun ya jaun
ek dhuan sa hai nasheman ki taraf
KHair-maqdam ko jhukengi shaKHen
ek zara aao to gulshan ki taraf
'arsh' kis dost ko apna samjhun
sab ke sab dost hain dushman ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.