KHud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe
ḳhud apnī soch ke panchhī na apne bas meñ rahe
khulī fazā kī tamannā thī aur qafas meñ rahe
bichhaḌ ke mujh se azaab un pe bhī bahut guzre
vo mutma.in na kisī pal kisī baras meñ rahe
maiñ ek umr se un ko talāsh kartā huuñ
kuchh aise lamhe the jo apnī dastaras meñ rahe
lahū kā zā.iqa kaḌvā sā lag rahā hai mujhe
maiñ chāhtā huuñ ki kuchh to miThās ras meñ rahe
kisī kā qurb mire dil kī raushnī Thahre
kisī ke aane se ḳhushbū mire nafas meñ rahe
sunā hai us kī guzartī hai taaza phūloñ meñ
'zamān' jis ke liye shahr ḳhār-o-ḳhas meñ rahe
KHud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe
khuli faza ki tamanna thi aur qafas mein rahe
bichhaD ke mujh se azab un pe bhi bahut guzre
wo mutmain na kisi pal kisi baras mein rahe
main ek umr se un ko talash karta hun
kuchh aise lamhe the jo apni dastaras mein rahe
lahu ka zaiqa kaDwa sa lag raha hai mujhe
main chahta hun ki kuchh to miThas ras mein rahe
kisi ka qurb mere dil ki raushni Thahre
kisi ke aane se KHushbu mere nafas mein rahe
suna hai us ki guzarti hai taza phulon mein
'zaman' jis ke liye shahr KHar-o-KHas mein rahe
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 393)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 23,Edition Nov. Dec. 1985)
- Edition : Issue No. 23,Edition Nov. Dec. 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.