Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud masiha KHud hi qatil hain to wo bhi kya karen

Fani Badayuni

KHud masiha KHud hi qatil hain to wo bhi kya karen

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    ḳhud masīhā ḳhud qātil haiñ to vo bhī kyā kareñ

    zaḳhm paidā kareñ zaḳhm-e-dil achchhā kareñ

    dil rahe ālūda-dāman aur ham dekhā kareñ

    aaj ai ashk-e-nadāmat aa tujhe dariyā kareñ

    jism-e-āzādi meñ phūñkī ne majbūrī ruuh

    ḳhair jo chāhā kiyā ab ye batā ham kyā kareñ

    ḳhuun ke chhīñToñ se kuchh phūloñ ke ḳhāke sahī

    mausam-e-gul aa gayā zindāñ meñ baiThe kyā kareñ

    jā-ba-jā taġhiyi-e-hāl-e-dil ke charche haiñ to hoñ

    ham hue rusvā magar ab ham kise rusvā kareñ

    haañ nahīñ shart-e-muravvat hasrat-e-tāsīr-e-dard

    rahm aa jā.egā un se taqāzā kyā kareñ

    shauq-e-nazzāra salāmat hai to dekhā jā.egā

    un ko parda agar manzūr hai pardā kareñ

    zarf vīrāna ba-qadr-e-himmat-e-vehshat nahīñ

    laao har zarre meñ paidā vus.at-e-sahrā kareñ

    marg-e-be-hañgām 'fānī' vaj.h-e-taskīñ ho chukī

    zindagī se aap ghabrāte haiñ ghabrāyā kareñ

    KHud masiha KHud hi qatil hain to wo bhi kya karen

    zaKHm paida karen ya zaKHm-e-dil achchha karen

    dil rahe aaluda-daman aur hum dekha karen

    aaj ai ashk-e-nadamat aa tujhe dariya karen

    jism-e-azadi mein phunki tu ne majburi ki ruh

    KHair jo chaha kiya ab ye bata hum kya karen

    KHun ke chhinTon se kuchh phulon ke KHake hi sahi

    mausam-e-gul aa gaya zindan mein baiThe kya karen

    ja-ba-ja taghiyi-e-haal-e-dil ke charche hain to hon

    hum hue ruswa magar ab hum kise ruswa karen

    han nahin shart-e-murawwat hasrat-e-tasir-e-dard

    rahm aa hi jaega un se taqaza kya karen

    shauq-e-nazzara salamat hai to dekha jaega

    un ko parda hi agar manzur hai parda karen

    zarf virana ba-qadr-e-himmat-e-wehshat nahin

    lao har zarre mein paida wusat-e-sahra karen

    marg-e-be-hangam 'fani' wajh-e-taskin ho chuki

    zindagi se aap ghabraate hain ghabraya karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now