KHud-parasti se ishq ho gaya hai
ḳhud-parastī se ishq ho gayā hai
apnī hastī se ishq ho gayā hai
jab se dekhā hai is faqīrnī ko
fāqa-mastī se ishq ho gayā hai
ek darvesh ko tirī ḳhātir
saarī bastī se ishq ho gayā hai
ḳhud tarāshā hai jab se but apnā
but-parastī se ishq ho gayā hai
ye falak-zād kī kahānī hai
is ko pastī se ishq ho gayā hai
KHud-parasti se ishq ho gaya hai
apni hasti se ishq ho gaya hai
jab se dekha hai is faqirni ko
faqa-masti se ishq ho gaya hai
ek darwesh ko teri KHatir
sari basti se ishq ho gaya hai
KHud tarasha hai jab se but apna
but-parasti se ishq ho gaya hai
ye falak-zad ki kahani hai
is ko pasti se ishq ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.