KHud se lipaT ke ro len bahut muskura liye
KHud se lipaT ke ro len bahut muskura liye
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
ḳhud se lipaT ke ro leñ bahut muskurā liye
ḳhushiyoñ se aaj dard ke pahlū nikāliye
us ne tirī nigāh se kyā raaz pā liye
ḳhud apne dil meñ us ne Thikāne banā liye
dāman meñ to gire the ka.ī phuul bhī magar
palkoñ se chun ke ham ne tire ġham uThā liye
ab tum na kah sakoge ki ham surḳh-rū nahīñ
apne lahū meñ aaj to ham bhī nahā liye
mehr-o-vafā ḳhulūs-e-tamannā milan kī aas
kuchh kam nahīñ ki ham ne ye motī bachā liye
da.avā thā jin ko apnī masīhā.ī par bahut
ai 'sham.a' un ke ham ne karam aazmā liye
KHud se lipaT ke ro len bahut muskura liye
KHushiyon se aaj dard ke pahlu nikaliye
us ne teri nigah se kya raaz pa liye
KHud apne dil mein us ne Thikane bana liye
daman mein to gire the kai phul bhi magar
palkon se chun ke hum ne tere gham uTha liye
ab tum na kah sakoge ki hum surKH-ru nahin
apne lahu mein aaj to hum bhi naha liye
mehr-o-wafa KHulus-e-tamanna milan ki aas
kuchh kam nahin ki hum ne ye moti bacha liye
dawa tha jin ko apni masihai par bahut
ai 'shama' un ke hum ne karam aazma liye
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 514)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) LtdFarooq Argali (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.