KHuda bhi kaisa hua KHush mere qarine par
ḳhudā bhī kaisā huā ḳhush mire qarīne par
mujhe shahīd kā darja milā hai jiine par
khañDar ke gumbad o mehrāb jaag uTTheñge
use kaho ki vo dhīre se aa.e ziine par
lakīr hai na koī rañg hai na kalma hai
ye kaisā naqsh banāyā hai mere siine par
abhī umiid na.ī vus.atoñ kī qaa.em hai
abhī vo lauT ke aayā nahīñ safīne par
chhateñ bhī baT chukīñ āñgan bhī baT chuke lekin
chhiḌī hai jañg ki haq kis kā hai dafīne par
KHuda bhi kaisa hua KHush mere qarine par
mujhe shahid ka darja mila hai jine par
khanDar ke gumbad o mehrab jag uTThenge
use kaho ki wo dhire se aae zine par
lakir hai na koi rang hai na kalma hai
ye kaisa naqsh banaya hai mere sine par
abhi umid nai wusaton ki qaem hai
abhi wo lauT ke aaya nahin safine par
chhaten bhi baT chukin aangan bhi baT chuke lekin
chhiDi hai jang ki haq kis ka hai dafine par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.