KHulasa ye mere haalat ka hai
ḳhulāsa ye mire hālāt kā hai
ki apnā sab safar hī raat kā hai
ab ik rūmāl mere saath kā hai
jo merī vālida ke haath kā hai
anā kyā ijz ko girdāb samjho
baḌā gahrā samundar zaat kā hai
ḳhudā ash.ār-e-rasmī se bachā.e
ye qatl-e-ām sachchī baat kā hai
tapish kitnī hai maañ ke āñsuoñ meñ
ye paanī kaun sī barsāt kā hai
mujhe behtar hai kachchī qabr apnī
kisī gumbad se jo ḳhairāt kā hai
KHulasa ye mere haalat ka hai
ki apna sab safar hi raat ka hai
ab ek rumal mere sath ka hai
jo meri walida ke hath ka hai
ana kya ijz ko girdab samjho
baDa gahra samundar zat ka hai
KHuda ashaar-e-rasmi se bachae
ye qatl-e-am sachchi baat ka hai
tapish kitni hai man ke aansuon mein
ye pani kaun si barsat ka hai
mujhe behtar hai kachchi qabr apni
kisi gumbad se jo KHairaat ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.