khule dilon se mile fasla bhi rakhte rahe
khule diloñ se mile fāsla bhī rakhte rahe
tamām umr ajab log mujh se uljhe rahe
hanūt titliyāñ show-case meñ nazar aa.iiñ
sharīr bachche gharoñ meñ bhī sahme sahme rahe
ab aa.ina bhī mizājoñ kī baat kartā hai
bikhar ga.e haiñ vo chehre jo aks bante rahe
maiñ aane vaale dinoñ kī zabān jāntā thā
isī liye mirī ġhazloñ meñ phuul khilte rahe
daraḳht kaT gayā lekin vo rābte 'nāsir'
tamām raat parinde zamīñ pe baiThe rahe
khule dilon se mile fasla bhi rakhte rahe
tamam umr ajab log mujh se uljhe rahe
hanut titliyan show-case mein nazar aain
sharir bachche gharon mein bhi sahme sahme rahe
ab aaina bhi mizajon ki baat karta hai
bikhar gae hain wo chehre jo aks bante rahe
main aane wale dinon ki zaban jaanta tha
isi liye meri ghazlon mein phul khilte rahe
daraKHt kaT gaya lekin wo rabte 'nasir'
tamam raat parinde zamin pe baiThe rahe
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 368)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.