KHush-amdid kahta gulon ka jahan tha
ḳhush-āmdīd kahtā guloñ kā jahān thā
ik dasht-e-be-amāñ magar darmiyān thā
merī barahna pusht thī koḌoñ se sabz o surḳh
gore badan pe us ke bhī niilā nishān thā
kis ḳhema-e-malāl meñ rāteñ basar huiiñ
kis ġham-kade pe mehrbāñ nā-mehrbān thā
raushan alaav hote hī aayā tarañg meñ
vo qissa-go ḳhud apne meñ ik dāstān thā
is samt girya-zārī o kāfūr kī mahak
us samt ḳhush-libāsī thī aur itr-dān thā
KHush-amdid kahta gulon ka jahan tha
ek dasht-e-be-aman magar darmiyan tha
meri barahna pusht thi koDon se sabz o surKH
gore badan pe us ke bhi nila nishan tha
kis KHema-e-malal mein raaten basar huin
kis gham-kade pe mehrban na-mehrban tha
raushan alaw hote hi aaya tarang mein
wo qissa-go KHud apne mein ek dastan tha
is samt girya-zari o kafur ki mahak
us samt KHush-libasi thi aur itr-dan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.