KHush-qismat hain wo jo ganw mein lambi tan ke sote hain
ḳhush-qismat haiñ vo jo gaañv meñ lambī taan ke sote haiñ
ham to shahr ke shor meñ shab-bhar apnī jaan ko rote haiñ
kis kis dard ko apnā.eñ aur kis kis zaḳhm ko sahlā.eñ
dekhtī āñkhoñ qadam qadam par ka.ī havādis hote haiñ
dil kī dillī luT ga.ī is ke aivānoñ meñ ġhadar machī
ḳhuddārī ke muġhal shahzāde shahr meñ Thaliyā Dhote haiñ
ḳhush-lahnoñ ke liye gulshan bhī kunj-e-qafas ban jaa.e to
jabr ke gun gaate haiñ yā naġhmoñ meñ dard samote haiñ
shaam ne din kā saath chhuḌāyā raat ne dasht meñ aan liyā
aise safar meñ rahgīroñ par saañs bhī dūbhar hote haiñ
maiñ to apnī jaan pe khel ke pyaar kī baazī jiit gayā
qātil haar ga.e jo ab tak ḳhuun ke chhīñTe dhote haiñ
dil ke ziyāñ kā sabab kyā pūchho un tūfānoñ ko dekho
jin ke bhañvar sāhil ke safīnoñ ko bhī aan Dubote haiñ
'parvez' aaj nahīñ miltī hai ḳhum ke bhaav talchhaT bhī
is par turra ye hai ki saaqī nashtar-e-ta.an chubhote haiñ
KHush-qismat hain wo jo ganw mein lambi tan ke sote hain
hum to shahr ke shor mein shab-bhar apni jaan ko rote hain
kis kis dard ko apnaen aur kis kis zaKHm ko sahlaen
dekhti aankhon qadam qadam par kai hawadis hote hain
dil ki dilli luT gai is ke aiwanon mein ghadar machi
KHuddari ke mughal shahzade shahr mein Thaliya Dhote hain
KHush-lahnon ke liye gulshan bhi kunj-e-qafas ban jae to
jabr ke gun gate hain ya naghmon mein dard samote hain
sham ne din ka sath chhuDaya raat ne dasht mein aan liya
aise safar mein rahgiron par sans bhi dubhar hote hain
main to apni jaan pe khel ke pyar ki bazi jit gaya
qatil haar gae jo ab tak KHun ke chhinTe dhote hain
dil ke ziyan ka sabab kya puchho un tufanon ko dekho
jin ke bhanwar sahil ke safinon ko bhi aan Dubote hain
'parwez' aaj nahin milti hai KHum ke bhaw talchhaT bhi
is par turra ye hai ki saqi nashtar-e-tan chubhote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.