KHushbu hain to har daur ko mahkaenge hum log
ḳhushbū haiñ to har daur ko mahkā.eñge ham log
miTTī haiñ to pal bhar meñ bikhar jā.eñge ham log
ye sho.ala-e-be-mehr to bas aañch hī degā
haañ aur tire husn se kyā pā.eñge ham log
kyā ham se bachoge ki jidhar jā.eñgī nazreñ
is ā.ina-ḳhāne meñ jhalak jā.eñge ham log
kahnā hai ye nā-qadrī-e-arbāb-e-jahāñ se
ik baar jo bikhre to na haath ā.eñge ham log
baiTho ki abhī hai ye ghanī chhāñv mayassar
Dhaltā huā saayā haiñ guzar jā.eñge ham log
ham rūh-e-safar haiñ hameñ nāmoñ se na pahchān
kal aur kisī naam se aa jā.eñge ham log
KHushbu hain to har daur ko mahkaenge hum log
miTTi hain to pal bhar mein bikhar jaenge hum log
ye shoala-e-be-mehr to bas aanch hi dega
han aur tere husn se kya paenge hum log
kya hum se bachoge ki jidhar jaengi nazren
is aaina-KHane mein jhalak jaenge hum log
kahna hai ye na-qadri-e-arbab-e-jahan se
ek bar jo bikhre to na hath aaenge hum log
baiTho ki abhi hai ye ghani chhanw mayassar
Dhalta hua saya hain guzar jaenge hum log
hum ruh-e-safar hain hamein namon se na pahchan
kal aur kisi nam se aa jaenge hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.