Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi ke bhi gham mein nishan dekhta hun

Shifa Gwaliari

KHushi ke bhi gham mein nishan dekhta hun

Shifa Gwaliari

MORE BYShifa Gwaliari

    ḳhushī ke bhī ġham meñ nishāñ dekhtā huuñ

    añdhere meñ parchhā.iyāñ dekhtā huuñ

    vahīñ un ko maiñ be-takāñ dekhtā huuñ

    baġhair aañkh uThā.e jahāñ dekhtā huuñ

    nigāh-e-tajassus se hotā huuñ nādim

    maiñ jab ḳhud meñ un ko nihāñ dekhtā huuñ

    adab kar mazāq-e-nazāra adab kar

    nazar ko bhī kyoñ darmiyāñ dekhtā huuñ

    jabīñ taraf āstāñ baḌh rahā hai

    ye maiñ aaj ḳhud ko kahāñ dekhtā huuñ

    vo jab dekhte haiñ kabhī merī jānib

    to maiñ jānib-e-āsmāñ dekhtā huuñ

    jo apnī jagah ḳhud qafas ban ga.e haiñ

    kuchh aise bhī maiñ āshiyāñ dekhtā huuñ

    bahut rahbar-o-rahnumā aa.e lekin

    jahāñ thā vahīñ kārvāñ dekhtā huuñ

    natīja bhī jis 'shifā' imtihāñ hai

    ajab aaj imtihāñ dekhtā huuñ

    KHushi ke bhi gham mein nishan dekhta hun

    andhere mein parchhaiyan dekhta hun

    wahin un ko main be-takan dekhta hun

    baghair aankh uThae jahan dekhta hun

    nigah-e-tajassus se hota hun nadim

    main jab KHud mein un ko nihan dekhta hun

    adab kar mazaq-e-nazara adab kar

    nazar ko bhi kyon darmiyan dekhta hun

    jabin ki taraf aastan baDh raha hai

    ye main aaj KHud ko kahan dekhta hun

    wo jab dekhte hain kabhi meri jaanib

    to main jaanib-e-asman dekhta hun

    jo apni jagah KHud qafas ban gae hain

    kuchh aise bhi main aashiyan dekhta hun

    bahut rahbar-o-rahnuma aae lekin

    jahan tha wahin karwan dekhta hun

    natija bhi jis ka 'shifa' imtihan hai

    ajab aaj ka imtihan dekhta hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now