KHub-ruyon se yariyan na gain

Hasrat Mohani

KHub-ruyon se yariyan na gain

Hasrat Mohani

MORE BY Hasrat Mohani

  ḳhūb-rūyoñ se yāriyāñ na ga.iiñ

  dil be-iḳhtiyāriyāñ na ga.iiñ

  aql-e-sabr-āshnā se kuchh na huā

  shauq be-qarāriyāñ na ga.iiñ

  din sahrā-navardiyāñ na chhuTīñ

  shab aḳhtar-shumāriyāñ na ga.iiñ

  hosh yaañ sadd-e-rāh-e-ilm rahā

  aql harzā-kāriyāñ na ga.iiñ

  the jo ham-rañg-e-nāz un ke sitam

  dil ummidvāriyāñ na ga.iiñ

  husn jab tak rahā nazzāra-farosh

  sabr sharmsāriyāñ na ga.iiñ

  tarz-e-'momin' meñ marhabā 'hasrat'

  terī rañgīñ-nigāriyāñ na ga.iiñ

  KHub-ruyon se yariyan na gain

  dil ki be-iKHtiyariyan na gain

  aql-e-sabr-ashna se kuchh na hua

  shauq ki be-qarariyan na gain

  din ki sahra-nawardiyan na chhuTin

  shab ki aKHtar-shumariyan na gain

  hosh yan sadd-e-rah-e-ilm raha

  aql ki harza-kariyan na gain

  the jo ham-rang-e-naz un ke sitam

  dil ki ummidwariyan na gain

  husn jab tak raha nazzara-farosh

  sabr ki sharmsariyan na gain

  tarz-e-'momin' mein marhaba 'hasrat'

  teri rangin-nigariyan na gain

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Ghulam Ali

  Ghulam Ali

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY