KHwab apne meri aankhon ke hawale kar ke
ḳhvāb apne mirī āñkhoñ ke havāle kar ke
tū kahāñ hai mujhe nīñdoñ ke havāle kar ke
merā āñgan to ba-juz tere mahaktā hī nahīñ!
bārhā dekhā hai phūloñ ke havāle kar ke
ek gumnām jazīre meñ utar jā.ūñgā
apnī kashtī kabhī lahroñ ke havāle kar ke
kaisā sūraj thā ki phir lauT ke aayā hī nahīñ
chāñd taare mirī rātoñ ke havāle kar ke
mujh ko mā'lūm thā ik roz chalā jā.egā!
vo mirī 'umr ko yādoñ ke havāle kar ke
ghar kī vīrānī badal Daalī hai raunaq meñ 'hasan'
sahn kā peḌ parindoñ ke havāle kar ke
KHwab apne meri aankhon ke hawale kar ke
tu kahan hai mujhe nindon ke hawale kar ke
mera aangan to ba-juz tere mahakta hi nahin!
barha dekha hai phulon ke hawale kar ke
ek gumnam jazire mein utar jaunga
apni kashti kabhi lahron ke hawale kar ke
kaisa suraj tha ki phir lauT ke aaya hi nahin
chand tare meri raaton ke hawale kar ke
mujh ko ma'lum tha ek roz chala jaega!
wo meri 'umr ko yaadon ke hawale kar ke
ghar ki virani badal Dali hai raunaq mein 'hasan'
sahn ka peD parindon ke hawale kar ke
- Book : Ham Ne Bhi Mohabbat Ki Hai (Pg. 65)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.